kuch khawaaish abhi bhi baaki hai

dil ka kya hai woh to aapko hi sochta hai,
kehata nahi hai ye par, 
ek saath pane ki khawaaish baaki hai,

saath reh sake mumkin na ho magar,
meri zindagi me chahat abhi bhi baaki hai,

hum un kush naseeb waloon me hai , 
jinke dil me kashak abhi bhi baaki hai,

zindagi katam kar deena tik nahi hoga,
kyoki ek mulukkat teri-meri abhi bhi baaki hai,

khuda se khena dua kabul kare, 
ki kayi armaan abhi bhi baaki hai,

agar tu kar sake to bas itna kar, 
manjoor kar meri fariyaad,
ki milna abhi be baaki hai,

agar poori na kar saki ye khawish to yaad rakhna,
ki ek insaan ka karz abhi bhi baaki hai...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts