jane kahan woh kho gaye hamein barbaad karke

rota hai dil mera baatein unki yaad karke,
din kya yahan to raatein bhi kattin hain fariyaad karke.

main khush tha tannha unke aane se pahle,
jane kahan woh kho gaye hamein barbaad karke.

kabhi hum bhi gine jaate the khuda ke badon mein,
yeh majburiyan gayi bhi khudaya to mujhe barbaad karke.

mujh dushman ka hi ghar jalana tha usse,
sab yaraane bawafa ke gaye ghar aabad karke.

abhi bhara nahi dil teri bewafaiyon se zalim,
zara ruko ,chale jana dil ko shaad karke.

kisi jamane mein woh bhi hamein chahate the bahut,
abhi abhi guzre hain jo raaj se nazre pher ke.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts