na ummeed ho, na intezaar, na justjoo baki

yeh aarzoo hai ke na rahe koi aarzoo baki,
na ummeed ho, na intezaar, na justjoo baki...

kahne ko laut aaya hai mausam-ae-bahaar magar,
hai chaman mein bassi mere rang aur sugand baki...

taa umr diye hai jisse apno ne fareb,
karegi kya uspe sitam koi yeh aarzoo baki..

kya kya na paa liya khayaale yaar ke sajde,
rahi phir bhi magar khayaalon me bas tu baki,

kabhi inhi aankhon me basse the khwaab,
phir chalaka jo yaade-dariya, 
rah gaye bas aanshoo baki...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts