itna mujhko tardpate ho kyun?

tanhai mein mehfilein sajate ho kyun,
khoon ke aanshu rulate ho kyun,
meri har jhalak agar dard ka sabab hai,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

kya soch humse milne aa gaye,
jab jee chaha rula gaye,
humse dil lagaya tha aapne,
koi aur mila, hume bhula gaye.

baar-baar dil pe dastak de mere,
mujhe tum bulate ho kyun.
meri har jhalak agar dard ka sabab hai,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

tere bina aalam hai tanhaai ka,
waqt hua hai maatam hi sehnaai ka,
is duniya se chal diya raaj,
jo dekh naa payega manjar teri bewafai ka.

khuda bhi jo dekh dehal jaye,
itna mujhko tardpate ho kyun?
meri har jhalak agar dard ka sabab hai,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

har saans mein teri khusbu aati hai,
mere jism mein rooh teri samati hai,
phir bhi naa jane kyun tu,
mujhe lamha-lamha tardpati hai.

tez barsaaton mein dekh mujhe,
chehra apna chupate ho kyun?
meri har jhalak agar dard ka sabab hai,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

har lamha main tere kareeb tha,
tuta dil, mera naseeb tha,
kaise bhula doon tujhko,
bas tu hi to mera humsafar tha.

aarthi ko rok kar mere,
ishq ki lahu se maang apne sajate ho kyun?
meri har jhalak agar dard ka sabab hai,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

tujhe dekh aaj dard bahut ho raha hai,
dil mera khoon ke aanshu roo raha hai,
main raat bhar chillata raha reham ko,
par ab tak yeh zamana soo raha hai.

khewat bankar meri zindaagi ki,
usse ghumon ke sagar mein dubote ho kyun?
meri har jhalak agar dard ka sabab hai,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

mujhe shikwa hai to, dil mein basate ho kyun,
basa kar dil mein hume, phir bhulate ho kyun,
meri har jhalak agar dard ka sabab hai,
to meri mehfil mein aate ho kyun?

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts