kayi khawahisein hain iss dil ki

kayi khawahisein hain dil ki aapko kya maloom,
chand lamhein fursat ke nikaliye to bataye aapko.

kahin dil nahi lagta humara aapke bagair,
kisi waqt ho mulaqaat to bataye aapko.

koi kashish kheench laati aapke dar par,
yeh dor hain pyar ki, kaise dikhaye aapko.

belagaam se hue jaate hain jazbaat sanam,
ishq ki dastaan husn se hai kaise sunaye aapko.

kuch to dawa kariye iss dil ke marz ka,
har pal tardpta hai, sisakta hai, kaise bataye aapko? 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts