thehro zara si der, main khud ko sambhaal loon,
palakon pe jhijhakte huye aanshu sambhaal loon.
armaan jo arse se iss dil mein sajaaye the,
dil tootne se pehle woh armaan sambhaal loon.
aaye ki phir na aaye ab, yeh pyaar ki bahaar,
inn chand yaadon ko gham-e-dil mein sambhaal loon.
num ho rahi hai aankh, dhundhlaate hain nazaare,
inn dubti aankhon se, nazaare sambhaal loon.
main thak gaya hoon aaj, manzil ka nahi pata,
dum bhar ko ruk ke, paaon ke kaante nikaal loon.
lo toot gaya aaj bharam pyaar ka dostoon,
jo zakhm pyaar ne diye, unko sambhaal loon.

No comments:
Post a Comment