ek raat ki baat hai

zindagi mein mil gayi phir woh,
ek raat ki baat hai,

kuch keh nahi paye hum,
waqt ki baat hai,

aankhon se aanshu baraste rahe,
jasbaat ki baat hai,

kuch na kaha kar bhi,
sab kah gayi woh,
andaaz ki baat hai,

chah kar bhi na rok sake usse hum,
haalat ki baat hai,

woh ab kisi aur ki hai,
kissmat ki baat hai,

yeh kehna na kisi se tum,
ek raaz ki baat hai...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts