dheere se sarkti hai raat unke aanchal ki tarah,
unka chehra nazar aata hai jheel mein kamal ki tarah,
baad muddat unko dekha to jism o jaan ko yun laga,
pyaasi zameen pe jaise koi baras gaya badal ki tarah,
roz kehti hai seene pe ser rakh ke raat bhar sulaoungi,
hote shaam hi mujhe aaj phir sula gayi woh kal ki tarah,
unka sharmaana bhi mujhe maat de jaata hai,
unki to har adda hai kisi khamosh kaatil ki tarah,
mere hi dil ka tukda nikle woh shakhs aur mein
shehar bhar main dhoodnta raha unhein kisi pagal ki tarah,
madhosh sa ho jata hoon jab barish ki boondein
cherdti hain koi naghma unki chhanakti payal ki tarah,
mera sukhan unki zaat ka mohtaz na ho tab bhi,
woh dil nasheen hogi mehakti ghazal ki tarah,
nahi the zindagi pe tannha be sabab iss tarah,
yakeen tha mil jayegi kisi raah mein woh manzil ki tarah.

No comments:
Post a Comment