kya meri yaad ab bhi raat bhar jagaati hai tumhein

kya ab bhi meri jhalak khwaab mein nazar aati hai tumhein,
kya meri har yaad ab bhi raat bhar jagaati hai tumhein?

har andhere tumhe mujh tak kheej laati thi,
kya ab bhi koi roshni iss tarah bulati hai tumhein?

meri har raaz tumhein hawa hi bata jaati thi,
kya ab bhi khushbu mere paighaam sunati hai tumhein?

meri takleef par woh aankh mein nammi ka aa jana,
kya ab bhi meri koi baat rulati hai tumhein?

tumhari har jazba, tumhari aankh mujh se keh deti,
kya ab bhi woh kuch na keh kar har baat batati hai humein?

har awaaz pe tumhein mere aane ka hota tha gumaan,
kya ab bhi koi aahat yun satati hai tumhein?

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts