ab woh zamaane ki baatein karte hain

soorat -e- zindagi lafzon mein dikhane wali,
meri har baat hai be-perwah diwane wali…

humsafer banke mile the,
humkadam banke chale,
jara si baat par kashti meri dubo daali…

daur -e- chahat mein unhein har sitam gawara tha,
ab to har baat batate hain bahane wali…

azeej doston mein bhi raj ab dusman ho gaya,
jubaan to saaf hain unki magar niyat kaali…

jarurat mein kabhi kaam aa na sake,
jinpe bharosa kiya tha,
unhi ka gher khaali…

aur ab to wo bhi zamaane ki baatein karte hain,
jinhone tord di har rashm zamane wali…

yoon mila meri wafa ka sila unse,
fareb dil ko aur humein gaali...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts