zakhm kaisa bhi ho zamaane se chupa lete hain

hasraton ko hum iss dil mein dabaa lete hain,
zakhm kaisa bhi ho zamaane se chupa lete hain,

tannhai ki aag mein jab jism sulagne lagta hai,
teri yaadon ko hum seene se laga lete hain,
zakhm kaisa bhi ho zamaane se chupa lete hain.

kahi humara lahu paani na bann jaaye,
bas yahi soch kar palkon ko bhiga lete hain,
zakhm kaisa bhi ho zamane se chupa lete hain.

suraj gark hota hai har shaam samander mein,
kuch yun hi khud ko hum tujh mein duba lete hain,
dillagi se husn waalon ki.. humein khuda hi bachaye,
dewaana kerte hain phir daaman ko chuda lete hain,
zakhm kaisa bhi ho zamaane se chupa lete hain.

kis tarah rokein aur iss dil ko bachaayein unnse,
aankho aankhon mein hi woh dil ko urdaa lete hain,
maslaa dilbaron ka bhi kuch ajeeb sa hi hota hai,
khawaab dete hain par neendon ko urdaa lete hain,
zakhm kaisa bhi ho zamaane se chupa lete hain.

humara to kuch bhi ho par ussko to roshini mile,
bas yahi soch kar aashiyana jalaa lete hain,

woh na aaye to intezaar bhi baat fakr ki hai,
bas yahi soch kar usse milne ko bula lete hain.
zakhm kaise bhi ho zamaane se chupa lete hain.

mumkin hi nahi ki woh humko samajh paayein kabhi,
jab mere jikr se woh muh ko fulaa lete hain,
zakhm kaise bhi ho zamaane se chupa lete hain.

humari shayari mein kuch to khaas rehta hai,
apni har naghmein mein unka charcha mila lete hain,
na puchiye ki kya hai haal-e-dil  janaab,
marz ishq hai aur hum shayari ki dawaa lete hain,
zakhm kaise bhi ho zamaane se chupa lete hain.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts