aye maut jara dhire se aa ek kam zara sa baki hai

aye maut jara dhire se aa, ek kam zara sa baki hai,
unko khat ek likhna hai, paigam zara sa baki hai,

woh samjhenge tha bewafa, intezaar bhi na kar saka,
marne se pehle ek baar, ikraar bhi na kar saka,

gujarish meri mann ke, thoda sa waqt aur de de khuda,
meri prem kahani ka, anjam zara sa baki hai,

apna dard batane de, ek nagma mujh ko gaane de,
sanam ke dard ka mausam, unko jara sunane de,

janta hoon waqt kareeb hai, ab na koi apna rakeeb hai par
jo har roz pite hai ghum ka, woh jaam zara sa baki hai,

unhein ab tak malum nahi ki apni sanse kuchh hi baki hai,
jo aate hai unhein dekhne ko, woh anshu kuch hi baki hai,

woh ab tak na aaye mehfil mein, ab tak deedar baki hai,
usne ab tak mujhe bewafa na kaha, ilzam zara sa baki hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts