tu zinda aakhir kaise hai

maine suna hai har saans se pehle
tu ussi ka naam leta tha,
par labon pe tere jab woh naam hi nahi
to teri saansen kaise hain?

pata hai mujhe har dhardkan teri
usssi ki aarzoo karti thi,
par aaj jab woh aarzoo hi na rahi
to teri dhardkan kaise hai?

teri rooh se teri nahi
uski muskurahaton ki mehak aati thi,
par jab woh mehak hi na rahi
to tera astitva kaise hai?

tu hi to kehta firta tha
teri zindagi bas ussi se hai,
par ab zindagi mein teri jab woh hi nahi
to teri zindagi kaise hai?

jab bhi teri aankhon ko dekha
inmein uski tasveer dikhi,
woh tasveer jab ashkon mein beh hi gayi
to khuli yeh aankhein kaise hain?

dil mein tere khoon to nahi tha
bas ussi ka pyaar behta tha,
par jab woh pyaar hi na raha
to dil tera dhardakta kaise hai?

aye dost tu kabhi jhootha na tha
tujhe ishq ki kasam sach sach bata..
aaj jab woh hi na rahi
to tu zinda aakhir kaise hai?
tu zinda aakhir kaise hai..?

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts