pyaar jatane ka hunar humein maloom na tha

tu sang-dil hai yeh kaha tha dil ne,
pathhar bhi hai... magar maloom na tha,
wafa ke sadke umar guzaar di maine,
mujhe bewafaai ka hunar maloom na tha.

zakhm milenge raste mein socha hi tha,
jaanleva hoga safar maloom na tha,
kareeb thi manzil aur hausla bhi tha magar
daudne ka hunar maloom na tha.

lamba hoga raasta, dooriyan bhi hongi,
aseem hai rah-e-guzar maloom na tha,
nikal to pada rahe-ishq par raaj,
pyaar jatane ka hunar maloom na tha.

chand ghum the jo chupa raha tha zamane se,
mujhe tanhaiyon ka asar maloom na tha,
main to ashq chipane mein reh gaya,
humdardi paane ka hunar maloom na tha.

kitni hi maiyatein uthali maine,
aag bhi lagana hai magar maloom na tha,
fakat dosti nibhane se kya hoga,
dil jalane ka hunar maloom na tha. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts