talaash ab bhi baaki hai

zindaagi ko khushi ki ek aas ab bhi baaki hai,
tannhai ko mefil ki pyaas ab bhi baaki hai.

gehare tufan mein khade jujh rahi jo akeli,
uss kali mein khilane ka ulaas ab bhi baaki hai.

ghanghor baarish se lard raha hai woh diya,
naa bujhe lao.. uska prayaas ab bhi baaki hai.

dhoop se sukhati jaa rahi nadi ki woh dhaara,
par badhte rehane ka ulaas ab bhi baaki hai.

raaste se bhatka, thak gaya hai woh musafir,
manzil ko paane ki talaash ab bhi baaki hai.

hata-hat pankchhi dekhe dard se gagan ko,
urdega woh phir se.. yeh vishwaas ab bhi baaki hai.

vichlit dekhe chaand, ghirta huwa andhera,
nabh rahe prakashit prayaas, ab bhi baaki hai.

kya sochata hai raaj band karke aankhein,
ki abhi zindagi mein kayi saans, ab bhi baaki hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts