teri jeet meri haar sahi

teri jeet meri haar sahi..
iss haar par dil sharamsaar sahi,
tu meri duniya mein ab bhi jurdi hai,
mehfil mein teri hum ab gunehgaar sahi.

teri jeet meri haar sahi..
mere paas aur do chaar din ki mohlat hai,
tere paas rishton mein fainslon ki daulat hai,
tere aage dilon ki lambi kataar sahi,

iss kataar mein ek mera dil bhi shumaar sahi,
tu meri duniya mein ab bhi bakki hai, 
mehfil mein teri hum ab gunehgaar sahi. 

teri jeet meri haar sahi..
iss haar pe dil sharam saar sahi,
lamha-e-raat mein khwaabon ki guft-gu,
mere kuch sawaalon par jawabon ki just-ju,
teri khaamoshi mein chupa tera inkaar sahi,

iss inkaar par yeh dil khushi se bezaar sahi,
tu meri duniya mein ab bhi jurdi hai,
mehfil mein teri hum ab gunehgaar sahi. 


teri jeet meri haar sahi..
na jaane yeh dil kis raftaar se chal raha hai,
hum waise ke waise aur zamaana badal raha hai,
tu suraj ke saatven ghode par sawaar sahi,
har ek cheez se jada teri raftaar sahi,
tu meri duniya mein ab bhi jurdi hai,
mehfil mein teri hum ab gunehgaar sahi. 

teri jeet meri haar sahi,
iss haar pe dil sharam saar sahi.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts