kitne hi dillon pe khanjar chalaya hai

aaj duniya ko mohabbat ki kadar hi kahan,
har taraf nafrat ka saya hai,

bhai bhai ka dil cheer raha hai,
bharat apne hi khoon se nahaya hai.

mazloomon ki kaun kare hifaazat yahan,
rakhwalon ke hi to khauf ne sataya hai,

patharon ki murat mein ab rab basta nahi,
uski fitrat mein bhi zulm samaya hai,

junoon hai jeetne ka yeh daud zindagi ki,
humne maut ki taraf kadam badhaya hai,

har disha mein aandhi hai pyaasi lahoo ki,
insaaniyat ko insaan ne hi to maar khaya hai,

chand siyaron ne bhookh mitane ko apni,
shikaar insaan ka insaan se karwaya hai.

dekhna chahta hai jo apne phool ko khilte huye,
bageechon ko registaan mein badalwaya hai,

agar basti hai aaj bhi mohabbat dillon mein,
to kyon apne hi bachhon se mulk tharraya hai,

dawa karta hai jo shaks ishq ka mashhok se apne,
jaane kitno ko vidhawa usne banaya hai,

jo aashiq hai yahan apne mehboob ka usne,
kitne hi dillon pe khanjar chalaya hai,

deta hai misaal tajmahal ki mohabbat liye,
kitne hi aashiqon ka makbara usne banwaya hai,

rehnuma hai jo watan ka, 
kaum ko apne ussi ne
katle-aam karwaya hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts