aye bewafaa mujhko tujhse pyaar aaj bhi hai

aasaan to nahi lekin tera intezaar aaj bhi hai,
aye bewafaa mujhko tujhse pyaar aaj bhi hai.

mohabbat hai tujhse, labon par iska ikraar aaj bhi hai,

aye bewafaa mujhko tujhse pyaar aaj bhi hai. 

kasam jo tumne khayi thi saath rehne ki,
tu nibhayegi woh vaada aitbaar aaj bhi hai, 

aye bewafaa mujhko tujhse pyaar aaj bhi hai. 

yun to tune mangi thi duayein meri maut ki,
poori ho teri mannat yeh pukaar aaj bhi hai,

aye bewafaa mujhko tujhse pyaar aaj bhi hai. 

yeh to nahi ke bikti nahi ranjishein bazaar mein,
koi dekhe tera aks, tu ashkon ki dukandaar aaj bhi hai, 

aye bewafaa mujhko tujhse pyaar aaj bhi hai. 

woh to main hi tha jo mar mita tha tujhpe,
tere aangan mein mujhse deewano ki kataar aaj bhi hai,

aye bewafaa mujhko tujhse pyaar aaj bhi hai. 

zakhmo se rista yeh lahoo teri meharbani sahi,
tere hoton par kaatil hone se inkaar aaj bhi hai,
par bewafaa mujhko tujhse pyaar aaj bhi hai.

jism ka mit jaana shayad taqdeer thi meri,
do pal tujhe dekhne ko lekin rooh bekaraar aaj bhi hai,

aye bewafaa mujhko tujhse pyaar aaj bhi hai. 

do aanshoo jo mil jayein tumhare to thodi nami aa jaye,
issi arzoo mein khushk meri majaar aaj bhi hai,

samadhi par hi sahi par tera intezaar aaj bhi hai,

aye bewafaa mujhko tujhse pyaar aaj bhi hai. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts