chalo raaj aage ki aur badho..

phir baithe hain akhele 
par mann mein shanti bhi samayi hai,
talash thi jis manzil ki.. a
khir kar wohi humne aaj payi hai,

phir bhi ek bechaini si hai dil ke kisi kone mein,
kya kush hoon main iss manzil se
jo zindagi ne hume dikhayi hai?

kya badla hai akhir... 
kuch bhi to nahi anth mein,
pehle bhi the akhele hum,
mili aaj bhi to humein tanhaai hai.

aankhon mein sapne le kar 
chal pade the apni manzil ki aur,
kya jana tha humne..
sirf khwabon mein hi zindagi basayi hai.

ek manzil hi nahi anth zindagi ke raston ka
ki chup chap baith gaye,
manzil se aage bhi chalna hota hai
yehi zindagi ki karwayi hai.

chalo raaj aage ki aur badho..
apni zindagi ki raha mein bahare to mili nahi,
bas charon aur viraani si chayi hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts