saala yeh bhi to kasoor mera hi tha

ussi ko pooja, ussi ko chaha, ussi ki ibadat karta raha,
main apni mehbooba ko, apna khuda samajhta raha,

ke ussi bawafa mehbooba ne mere, seene pe khanjar chala diya,
aur jab jee na bhara lahoo se mere, to uspar namak laga diya,

katra katra mohabbat ke badle woh nafrat karti rahi,
main uspar marta tha aur woh meri maut ko tarasti rahi,

ashq to bahaye na gaye, ulte kambakth ne muskura diya,
ke ussi bawafa mehbooba ne, seene pe khanjar chala diya,

patthar ko pyaar sikhaunga ek din, yeh guroor mera hi tha,
usse itni mohabbat jo ki, saala yeh bhi to kasoor mera hi tha,

par sunn le khuda aur sunn le khudaai, main yeh gunaah karta rahunga,
agar yahi anjaam hai aashiq ka to, har pal main marta rahunga,

aaj samadhi mein bhi mujhe yahi bas ek sukoon hai,
ek nishani jo uske daaman pe hai, woh meri mohabbat ka khoon hai,

main kaante lekar chala gaya par usne bhi gul ko paaya hi nahi,
iss kadar woh bichhdi mujhse, aaj kareeb uske saaya bhi nahi.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts