hum kehte hai berbaad kiya, woh kehte hain ehsaan kiya

pehle nazrana-aye-khuda kaha aur phir badnaam kiya,
lamhon ke taane baane ko kissne zindagi ka naam diya,

ek bojh tamanaon ka aur uss par ek pet ka bojh,
bas umar bhar do waqt ki bhukh ka intzaam kiya,
lamhon ke taane baane ko kissne zindagi ka naam diya.

ek katra zindagi ka aur katre katre mein maut...
hum kehte hai berbaad kiya, woh kehte hain ehsaan kiya,
lamhon ke taane baane ko kissne zindagi ka naam diya.

sheharon se chale insaan to jungle tak bas gaye...
woh kehte hain aabaad kiya, hum kehte hain veeraan kiya,
lamhon ke taane baane ko kissne zindagi ka naam diya.

woh kehte hain jamaane mein akhiri din, kayaamat ka din..
intezaar kayaamat ka humne, har subah kiya har shaam kiya,
lamhon ke taane baane ko kissne zindagi ka naam diya.

hum zindagi ke chehre se mukhatir hue kuch iss kadar,
jab jab tumne zindgi kaha, humne isse maut ka naam diya,
hum kehte hain berbaad kiya, woh kehte hain ehsaan kiya,
lamhon ke taane baane ko kissne zindagi ka naam diya.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts