jaane kya khwaish hai iss dil ki

jaane kya khwaish hai iss dil ki,
woh andhyion mein diya jala raha hai,

chhoti si baat nahin lagti yeh par
woh behte paani mein aag laga raha hai,

koi sunta nahin hai phir bhi
woh apna haal-e-dil suna raha hai,

saahil se lagkar tooti kashti mein baitha
woh mujhko toofanon se dara raha hai,

chord kar saath khushi ka jaate huye,
woh kehta ghum usse bula raha hai,

kaid mein tha ek panchhi abb tak,
woh khamoshi se usko urda raha hai,

zamana kya hai woh mujhko bata raha hai,
woh har ek rang uska mujhko dikha raha hai,

iss kadar bhi kya rukhsat karta hai koi?
woh maazi ko dariya mein baha raha hai. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts