kisi ko dil se bhulana aasa nahi hota

kisi ko dil se bhulana itna aasa nahi hota,
pal do pal mein zindagi ka faisla nahi hota,

dil ke jalne se jalta hai aashiyana bhi,
kehte hain log iss aag mein dhua nahi hota.

ek woh hi na ho sake humare warna,
duniya mein hone ko kya kya nahi hota.

teri yaad mein rota hoon barsaat mein,
yun mere ashko ka kisi ko pata nahi hota.

jab jee chahe chale anaa mere dil mein,
yeh aisa ghar hai jis mein darwaza nahi hota.

utha leta chhahat ki laash barhe khusi se,
gar mere kandho pe mera zanaza nahi hota.

bewafai ka ilzaam humare sar nahi hota,
gar tere ghar ka log andha nahi hota.

janta hoon mere dard se kagaz ro parega,
issi darr se kush likhne ka hosla nahi hota.

pyar mein zakham khaye hain raaj ne yaaro,
zamane mein sabke saath aisa hadsa nahi hota.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts