kabhi kisi ko dukhi na paau aisa khayaal de mujh ko

kabhi khud ko pehchaan na paau, aisa nakaab de mujh ko,
kabhi hosh mein aa hi naa paau, aisa sharaab de mujh ko.

sab dil lagaane waalo ka ek jaisa hi anjaam aakhir kyu,
kabhi yeh savaal kar na paau, aisa jawaab de mujh ko.

koshish to bahot ki par lagta hai mere bas ki baat nahi,
kabhi dard se ro na paau, aisa badalaav de mujh ko.

usme aakhir teri hi izzat bani rahegi hey bhagwan,
kabhi yeh ser zukaa na paau, aisa makaam de mujh ko.

aman, chain aur shaanti se bhara sab ka basera ho,
kabhi kisi ko dukhi na paau, aisa khayaal de mujh ko.

ab to likhate likhate yeh safar kat jaaye shayed,
kabhi yeh haath ko rok hi na paau, aisa kamaal de mujh ko. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts