apni barbaadi ka yeh kissa yaad aaya

sunlo meri kahani meri hi jubani,
kaisi ki barbaad mohabbat ne meri jawani,

woh din main kaise bhoolu jab aankh lard gayi thi,
woh bhi to ek jhalak mein raaj pe mar gayi thi,

dil ko bahut smajhaya ki naa kar tu apni manmaani,
par dil to thehra pagal kaise smajh pata woh baat syani,

khubsurti bala ki aankho mein tha maikhana,
use dekh kar to main yeh hi tha bol paya,

aab se main tera ho gaya hoon jane jana,
thoda sa woh shrmayi thoda sa main muskuraya,

us waqt laga aisa ki jaise swarg dharti pe utar aaya,
do char mulakaton mein mohabbat ne rang dikhaya,

naa aati thi usse neend na main hi so paya,
kuch ek hi dino mein hum ek dusre ke ban gaye,

jeena nahi juda hoke aise khyalat dil mein pal gaye,
ghanto ka safar kar ke jata tha uss se milne,

woh thi meri nadani jo krayi mujh se mere dil ne,
meri duniya tab behad rangeen ho gayi thi,

par mujhe kya pata tha ki mujh se galti sangeen ho gayi thi,
ek din bulaya mujh ko apne shehar me milne ka kar ke bahana,

magar uss din mujhe begane shehar mein aanshuon se pada nahana,
woh paas mere aayi do ghunt paani ke pee ke boli,

hum nadi ke woh kinare hain,
jo sath ho ker bhi kabhi ek nahi ho sakte, 
sanam mujhe bhool jaao, kal mujhe hai iss sehar se door jana,

sunna tha mera itna ki mujh pe aasman toot sa pada tha,
woh ro rahi thi mujh se lipat kar aur main chup chap sa khada tha,

sine se hata kar maine ek nigaah uss pe maari,
aankho se puchh rahe the usse hi...
woh wade woh kasame kya sab chal thi tumhari?

apni nigah jhuka kar rone lagi lipat kar,
humne bhi honsla sa kho diya aur roye uske samne toot kar,

kahne lagi woh humse ki humko maaf karna,
na karoge maaf to hum zillat se marr jayenge warna,

itna dagga kiya tha dil phir bhi na sambhla tha,
uski majbooriyo ke saye mein
chhupi be-wafayi ko nahi pehchanta tha,

kamzori thi humari ya uski chalaaki thi,
hum ruh chhord aaye the uske shahar mein,
aab to bas saans hi baaki thi,

usne phir ghar basaya,
kisi gair ko apna humsfar banaya,

waise to dil utt gaya tha jeene se par,
aapne maa-baap ko dekh kar raaj ne bhi dil ko samjhaya,

waise to bhool chuka hoon main uss bewafa ko,
magar aaj galti se uska ek tohfa dekha to,
raaj ko apni barbaadi ka yeh kissa yaad aaya.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts