humne apna sab kuch khoya tere pyaar ke piche

humne apna sab kuch khoya tere pyaar ke piche,
fizaon se ho gaye begane hum bahar ke piche,

ab isse bard kar khush-naseebi humari aur kya hogi,
unka aashiyana aabaad hai humare veerane ke piche,

tamaam umar humari bas isse soch mein guzri,
kya wajha rahi hogi aakhir unke inkaar ke piche,

dub gaye hum isse kash-m-kash mein yaaro,
sahil ke piche bhaage ya majhdhaar ke piche,

ek halke se hawa ke jhonke ne gira diya usko,
barson se khade the hum jis deewaar ke piche,

humari zindagi bebasi ki daastan ban ke reh gayi,
ek naya intezaar mila humein tere har ekraar ke picche,

raaj phulon ke khile chehre se fareb na khana,
zakham hazaron chhipe hain yaha har khaar ke piche. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts