mera mann manzil ke nishaan dhunde

ek aas liye, vishwas liye,
mera mann manzil ke nishaan dhunde,
manzil ki meethi pyaas liye,
mera mann manzil ke nishaan dhunde.

har kadam pe nirmam kaante hain,
hazaro ghum takdeer ne batein hain,
kadmon ke talle aakaash liye,
mera mann manzil ke nishaan dhunde.

bandhano se khud ko chhudana hai,
ab har zanjeer ko tord girana hai,
khul kar jeene ki aas liye,
mera mann manzil ke nishaan dhoonde.

avichal vichaar prerit karte,
sanskaar mujhe shobhit karte,
ek sthir-adig aatmavishwas liye,
mera mann manzil ke nishaan dhoonde.

pal pal jeevan ka samarpit hai,
inn palkon ka aansu arpit hai,
pal pal ka purwabhas liye,
mera mann manzil ke nishaan dhunde.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts