chalo unhein bhi apna hosla bata dein

chalo unhein bhi apna hosla bata dein,
patharoon ke shaher mein shishe ka ghar bana dein.

sahiloon pe kya jeena dar dar ke,
chalo kissi din samadaroon mein panha lein.

unke shaher mein sans leina mushkil hai agar,
chalo phir koi naya shaher basa lein.

anderon mein dar lagne laga hai agar,
chalo phir suraj ko apna pata dein.

jo kahete hain hum ne bewfa-e ki hai,
chalo phir usse bhi aainaa dekha dein.

muddat se jag rahi hain yeh ankhein,
chalo kissi din isse bhi sula dein.

jo dhoonta hai manzil ek umra se,
chalo phir usse bhi raasta bata dein.

unko teri shayari se shayad nafrath hai raaj,
chalo phir apni sari ghazalein jala dein.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts