dil kisi se laga kar karoge bhi kya,
chain apna luta kar karoge bhi kya,
zindagi begar yun hi gar taraste raho,
sapne aise saja kar karoge bhi kya?
dard unse kaho jo samajh bhi sake,
be-dilon ko suna kar karoge bhi kya,
kar rahe hain bahana woh gar neend ka,
yaron unko jaga kar karoge bhi kya?
andheron mein hi jinko khushi mil rahi,
unko sooraj dikha kar karoge bhi kya,
har taraf aag hai jaan lo sathiyon,
aap daman bachakar karoge bhi kya?
jisko sun kar zamana yeh hasta rahe,
dastan woh suna kar karoge bhi kya,
aazmauon unhe jo kehar da rahe,
muflison ko mita kar karoge bhi kya?
kuch nahi to raaj se yeh seekhlo,
nazar yun hi juka kar karoge bhi kya?
chain apna luta kar karoge bhi kya,
zindagi begar yun hi gar taraste raho,
sapne aise saja kar karoge bhi kya?
dard unse kaho jo samajh bhi sake,
be-dilon ko suna kar karoge bhi kya,
kar rahe hain bahana woh gar neend ka,
yaron unko jaga kar karoge bhi kya?
andheron mein hi jinko khushi mil rahi,
unko sooraj dikha kar karoge bhi kya,
har taraf aag hai jaan lo sathiyon,
aap daman bachakar karoge bhi kya?
jisko sun kar zamana yeh hasta rahe,
dastan woh suna kar karoge bhi kya,
aazmauon unhe jo kehar da rahe,
muflison ko mita kar karoge bhi kya?
kuch nahi to raaj se yeh seekhlo,
nazar yun hi juka kar karoge bhi kya?
No comments:
Post a Comment