jaane kab dekha tha unko


yeh safar kitna kathi hai, raasto ko kya pata,
kaise kaise hum baache haadso ko kya pata.

aandhiya chalti hai to phir sochti kuch nahi,
tuta hai paed kitne aandhiyo ko kya pata.

aapni marzi sa woh chuumi, apne maan se chord gayi,
kis kadar be-bas hai gul, titliyo ko kya pata.

ek pal mein raakh kar gayi woh kisi ka ashiyana,
aur kaise banta hai ghar, biglio ka kya pata.

aaina yeh sochta hai, saach kaha karta hai woh,
aur unka chehra par hai chehra, aaino ko kya pata.

jaane kab dekha tha unko, aaj tak unke hain hum,
aur keemti kitna the woh paal, un paalo ko kya pata.

jaise woh hain hum to aisa ho nahi sakte,
hum unhein kitna chahte hain, dushmano ko kya pata.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts