meri gazalein tujhe chirdati hogi

mere gazalon mein tumhein jarur bagawat ki bu aati hogi,
behakti hawa bhi yehi tumhein baar baar jataati hogi,

mere labjo mein kahin uska dard to nahi chuppa hai koi,
main sochta hoon har baar kya yeh khalish usko satati hogi?

aye dil tu sunn to jara woh madhur geet ki jhankaar,
doori kahi kisi ke khusiyon ke lamhe ki baraat jaati hogi.

sukh gaye aanshu mere dil ki chandani ke rote rote,
aye raat ab tu kiske aanshuon mein nahati hogi?

shab-aye-ghum kya, khusiyon ki saugaat kya, aur bahare kya,
aise mausam mein tannhai bhi tujhko jalati hogi,

mere labjon ko to unke ott pard lete hi honge,
ab aalam hai ki meri gazalein hi tujhe chirdati hogi. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts