woh ehsaas ab bhi hai

ha yaad hai mujh ko woh din,
din bhar main uski betabi ko mehsus kerta raha,
aur usse bhi apne kuch haqikaton se ru-ba-ru kerata raha.

uski baaton mein ek halchal thi,
meri aankhon mein jugari raat ke
khawb ki usse chu lene ki hasrat thi,

dopehar ki us dhup mein kabhi mere ghar wale bulate,
to kabhi uske gharwale usse ander aane ko kehte,

par hum abhi aa rahe hain keh kar
kuch der aur baatein kerne lagte,
ek dusre ke sath mille waqt mein
mohabbat ke ehsas mein bikherne lagte,

chalo ab chalna hai keh kar hum jaate jaate rukh jaate,
ghadi dekh kuch der aur baatein kar le soch kar phir kho jaate,

jo bandhan humein rokk raha tha
woh hamari dhardkano ka saaz tha,
jo kabhi mere laffjon ki
to kabhi uski nigahon ki aawaz tha,

sham ko achanak woh mujhe raah mein mil gayi,
usse dekhte hi meri muskaan khusi se khil gayi,

mujhe dekhte hi daggmaga gaye uske kadam,
jab maine apna haat bardhaya to usne tham liya,

phir ek minute rukna keh kar
usne mujhe chahat ka paigaam diya,

uske haath mere haathon mein tha,
na maine chorda na usne chordne ki chaahat jatayi,
hum bhare bazar mein khade hain,
na chahate huye bhi usne mujhe iss baat ki yaad dilayi,

sirf kuch lammhein the hamare pas, ek duje ko dekhne ke,
bahut kuch kehna tha usse par lab kuch bol hi nahi sake,

jaate huye mera ajnabi ek chaahat ka nazarana de gaye,
uski betabi ki woh mithas ab bhi hai,
mere haath par uske labbon ka woh ehsaas ab bhi hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts