pyar karne walon ko kabhi bhi judaa na karna

ek haseena thi ek deewana tha,
dono mohabbat karte the,

itni mohabbat karte the,
ek doosre ke bina rah na sakte the.

jab bhi mohabbat ki baatein hoti,
log unki baatein karte the,

dono ko duniya ki nazar lag gayi,
ek doosre se woh khafa ho gaye.

judaa huye to aise judaa huye,
ek doosre ki duniya hi saath le gaye.

dono milne ko tardapte rahe,
aur tardapte hi rah gaye.

dono ek doosre ko chahte the magar,
suruvaat kaun kare iss mein hi peechhe rah gaye.

waqt to kisi ke liye rukta nahin,
dono waqt se bahut door ho gaye.

mudatein ho gayi thi unko mile huye,
kudrat ne bhi aisa khel khela ki,
achaanak ek din ek doosre ke saamne aa gaye.

ek doosre ko dekh dono ke lab sil gaye,
bina kuch kahe bahut kuch kah gaye.

bas ek doosre ke aagosh mein lipat gaye,
ashk jo bahne lage to bahte chale gaye.

dono ko rote dekh hamara bhi dil roo diya,
hamare haath khud-ba-khud aapas mein jurd gaye,

aur hum khuda se yeh kahne lag gaye..
aye khuda karta hoon iltja tujhe,

aise pyar karne walon ko kabhi bhi judaa na karna,
duniyaan bhar ki khushiyaan unki jholi mein daal dena!

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts