aaj phirse is safar mein akela hoon

zindagi ke is safar mein akele chal rahe the,
jab is safar mein koi nahi tha aaya,

har shaam khamoshi bhari ek aahat thi,
aur chaaro taraf tannhai ka tha ek saya,

na koi khushi thi.. dard bhari bas shayari thi,
takdeer ne yeh kaisa tha faisla sunaya,

aayi jab ek masoom si murat samne,
us apne ki murat ne dil tha mera churaya,

ajeeb si khushi thi is dil ko kisi se milne ki,
uski khushbu ka nasha mere rom rom mein tha samaya,

tannhai aur khamoshi bhari zindagi door huyi,
pyaar ka aisa ek deep tha usne jalaya,

pyaar ko khuda maan ke pojaa tha is dil ne,
ussi khuda ne har pal mere pyaar ko tha mitaya,

apne aap ko badal ke saath chalna chaha,
par takdeer ne har baar hai mujhe haraya,

aaj phirse is safar mein akela hoon,
na koi khushi hai.. bas 
dard bhari shayari,aur chaaro taraf tannhai ka hai ek saya.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts