dekho aaj mohabbat ne kya naach nachahya hai

dekho aaj mohabbat ne kya naach nachahya hai,
iss badnaam shayar ka sar-e-aam aaj mazaak urdaya hai.

kehti thi saansein rahungi har pal saath tere,
ab inn saanson ne bhi mujhe yaad bana ke fiza mein lehraya hai,
dekho aaj mohabbat ne kya naach nachahya hai...

kaat raha tha zindagi tere aane ki aas mein,
par aaj tune apne pyar ka matlab mujhe samjhaya hai,
mere haath mein paiymana to hontho mein zeher lagaya hai,dekho aaj mohabbat ne kya naach nachahya hai...

raaton ko kabhi tere khawaab dekha karta tha,
par aaj tune unhi khawabon ke chilman mein aag lagaya hai,
aaj iss dard ke mausam mein khud ko akela maine paya hai.

ab to yahan jeene hi mere liye zaya hai,
dekho aaj mohabbat ne kya naach nachahya hai,
iss badnaam shayar ka sar-e-aam mazaak 
urdaya hai.


No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts