darta hai tuta dil mera

pujte the jis pyaar ko
dil aaj ussi ke naam se darta hai,
maanga tha jise duaaon mein har dam,
dil aaj ussi ke naam se darta hai.

kiya tha pyaar humne bhi kabhi ek sangdil se,
dil aaj ussi ke naam se darta hai,
us sangdil ne bhi bahut jataana chaaha pyaar magar sab jhuta,
dil aaj ussi ke naam se darta hai.

sajaaye the anginat sapne us sangdil ke saath humne,
dil aaj usi ke naam se darta hai,
kiye the janm-janmon ke waade us sangdil ke saath humne,
dil aaj ussi ke naam se darta hai.

tord gayi woh sangdil humare sajaaye saare sapne,
dil aaj ussi ke naam se darta hai,
tord gayi woh sangdil humare kiye sab waade,
dil aaj ussi ke naam se darta hai,

maine dil ko samjhaaya,
woh sangdil kabhi tera thi hi nahi,
na jaane kyun dil is baat se inkaar karta hai.


keh keh ke baar baar samjha liya,
behla liya dil ko maine
na jaane kyun dil abhi bhi darta hai.

bhula diya hai usko maine dil ke har kone se,
ab dil mera usse yaad karne se darta hai,
uski baaton ko, yaadon ko zehan se nikaal diya,
dil aaj uski yaadon se darta hai.

toot chuka hai vishwaas mera pyaar se,
ubb chuka hai dil in pyaar karne waalon se,
jinhein dekh kar mujhe eersha
aur jalan ke siwa kuch nahi hota.


par dil ab in sabse darta hai,
dil... dil ke jazbaat se darta hai,
dil har baat se darta hai,
pyar ke naam se darta hai,
darta hai tuta dil mera.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts