dil ki kashti yaadon ke tufano se lardti hai,
tute huye khwabon ko paane machalti hai,
ise manzil-aye- sahil dila de,
yaa rab mujhe apne pass bula le.
mera chand door hai mujhse,
ab sitare bhi khamosh hain,
inn sitaron mein mujhe bhi ek jagah dila de,
yaa rab mujhe apne pass bula le.
har ek dua mein usse manga tha,
kya meri ibadat ka yahi ek sila tha,
mujhe apne wazud ka ehsas dela de,
yaa rab mujhe apne pass bulale.
dil mein chupa khanzar ab nikalta nahi,
zakhmo pe zakhm ab sahe jaate nahi,
bechain ruh ko rahat dila de,
yaa rab mujhe apne pass bula le,
har sazde mein tujhe hi pukara tha,
har waqt bas tera hi sahara tha,
raj ke zindagi mein bhi yeh lamha de de,
yaa rab mujhe apne pass bula le.
tute huye khwabon ko paane machalti hai,
ise manzil-aye- sahil dila de,
yaa rab mujhe apne pass bula le.
mera chand door hai mujhse,
ab sitare bhi khamosh hain,
inn sitaron mein mujhe bhi ek jagah dila de,
yaa rab mujhe apne pass bula le.
har ek dua mein usse manga tha,
kya meri ibadat ka yahi ek sila tha,
mujhe apne wazud ka ehsas dela de,
yaa rab mujhe apne pass bulale.
dil mein chupa khanzar ab nikalta nahi,
zakhmo pe zakhm ab sahe jaate nahi,
bechain ruh ko rahat dila de,
yaa rab mujhe apne pass bula le,
har sazde mein tujhe hi pukara tha,
har waqt bas tera hi sahara tha,
raj ke zindagi mein bhi yeh lamha de de,
yaa rab mujhe apne pass bula le.
No comments:
Post a Comment