jhutha hi sahi
tumne pyaar to kiya tha,
ek din ke liye hi sahi
mera intezaar to kiya tha.
ek pal ke liye
main bhi madhosh hua tha,
apne hi khayalo mein
kuch behosh hua tha.
jab log kehate hain
ki maine pyaar kiya hai,
tab man udaas hoke sochta,
mera bhi dil kabhi bekraar hua tha.
tum chaahe jaha bhi raho
par tum khush rahana,
ghar kisi ka basana
par tum chup rahana.
na kerna kabhi zikr us pal ka
jo jeevan mein aaye the,
bhool jana ki hum dono
kabhi muskuraaye the.
tumhe eid ka chand kahu
ya kahu jeeta hua lamha,
zindagi jiye ja raha hoon
na rahta kabhi tannha.
teri yaade bahut hain
bita hua jazba bahut hai
jeene ke liye insaan ko
pyaar ka ek lamha hi bahut hai.
tumne pyaar to kiya tha,
ek din ke liye hi sahi
mera intezaar to kiya tha.
ek pal ke liye
main bhi madhosh hua tha,
apne hi khayalo mein
kuch behosh hua tha.
jab log kehate hain
ki maine pyaar kiya hai,
tab man udaas hoke sochta,
mera bhi dil kabhi bekraar hua tha.
tum chaahe jaha bhi raho
par tum khush rahana,
ghar kisi ka basana
par tum chup rahana.
na kerna kabhi zikr us pal ka
jo jeevan mein aaye the,
bhool jana ki hum dono
kabhi muskuraaye the.
tumhe eid ka chand kahu
ya kahu jeeta hua lamha,
zindagi jiye ja raha hoon
na rahta kabhi tannha.
teri yaade bahut hain
bita hua jazba bahut hai
jeene ke liye insaan ko
pyaar ka ek lamha hi bahut hai.
No comments:
Post a Comment