mere khawaboon ki duniya kitni maasoom kitni haseen,
lagti thi mujhe yeh duniya ab tak na jaane kitni rangeen,
ek din to hakeekat ki patharon se inko takraanaa hi tha,
mere sab khawaboon ko toot kar bikhar jaanaa tha,
mere in khwabon mein shaamil thi bachapan ki maasoomiyat,
jawaani ka pyar aur dono kaa alhardpan,
lekin hakeekat mein bachapan ki maasoomiyat,
jawaani kaa pyaar aur,
dono ka alhardpan khwaab ke saath hi bikhar gaya,
mere saare khwaabon kaa roop ek dam bigard gaya,
mere khawaabon ka mahal hakeekat mein saara ujard gaya,
kaash koi aake in khawaabon ko tootne se bachaaye rakhati,
mujhe hakeekat mein jagaa kar in khwaabon ko sajaaye rakhti,
mere saare khwaab yun toot kar bikhar naa jaate,
yeh khawaab saare mere hakeekat mein bhi sawar jaate.

No comments:
Post a Comment