bandh labon ki bhi apni ek jubaan hoti hai

log kehte hain ki dard ki koi jubaan nahi hoti,
agar aisa hota to kabhi aanshu na bante moti.

bandh labon ki bhi apni ek jubaan hoti hai,
har dard ki apni ek alag dastaan hoti hai.

rooh to khamosh reh har dard ko sehti hai,
par nazarein khud hi poori kahani kehti hai.

har dard kehta apni alag hi kuch kahani hai,
jisse sun har aankh ka sookh jata pani hai.

arre dard ki kasak se hi to lag ghayal hote hain,
kabhi-kabhi issi tees ke bhi log deewane hote hain.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts