bheed mein chala aa raha tha ki tu nazar aa gayi

ye sab soch kar hi ghabra sa gaya main aaj,
khoon ke aanshu roya aur,
khud se kitne sawaal kar baitha main aaj,

kabhi tu lagti thi jaise meri deewani hai,
aur aaj apna hoke bhi tu kitni begani hai,

bheed mein chala aa raha tha ki tu nazar aa gayi,
baat karna chahata tha tujhse,
par dil mein magar shabd aa gaya,

aankhein jaise hi takri teri un gehri aankhon se,
dil bebas hone laga meri un tez saanson se,

kadam chahate the tere paas chalkar chale jaayein,
kehna bahut kuch tha par ashk naino se chalakte jaayein,

naa hum kuch keh sake naa woh kuch keh paaye,
naa jaane kaisi lachaari se ek doorse ko dekhte jaayein,

bheegein thi palkein humari askhon ki chandni se,
un pyaar bhari aankhon mein bhi par ashk kahan ruk paaye,

bardhaya haath phir unhone apna,
hum kahan apna haath unhein de paaye,

jo berukhi, jo doori ban gayi naa chahate huye bhi darmiyaan,
woh doori aaj ek mulakaat se kaise mit jaaye,

kya woh chahate hain humein aaj bhi,
bas yehi hum aaj tay naa kar paaye,

ye sab soch kar hi ghabra sa gaya main,
kiye kitne sawaal khud se jinke jawab naa mil paaye.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts