aaj tum mujh se door jaaogi
apni duniya nayi basaogi,
ab kise ajnabi ki banhon mein
apni raanayian lutaogi,
maine maana ki door jaogi
apni duniya nayi basaogi,
phir bhi main puchta hoon tumse
mere nishaan mita bhi paaogi?
jab bhi dil se mujhe bhulaogi,
dar hakeeqat fareb khaogi,
din katega mere tasavar mein
apne khwabon mein mujh ko paogi,
apne aaram dar makhmali bistar mein
neend aankhon mein jab basaogi,
jaane kya yaad aayega tum ko
siskiyan lete huye jaag jaogi,
aadhi raaton mein jaag jaane ki
wajah kya hai samajh na paogi,
aur phir bebasi ke aalam mein
meri tasveer tum utthaogi.
apni duniya nayi basaogi,
ab kise ajnabi ki banhon mein
apni raanayian lutaogi,
maine maana ki door jaogi
apni duniya nayi basaogi,
phir bhi main puchta hoon tumse
mere nishaan mita bhi paaogi?
jab bhi dil se mujhe bhulaogi,
dar hakeeqat fareb khaogi,
din katega mere tasavar mein
apne khwabon mein mujh ko paogi,
apne aaram dar makhmali bistar mein
neend aankhon mein jab basaogi,
jaane kya yaad aayega tum ko
siskiyan lete huye jaag jaogi,
aadhi raaton mein jaag jaane ki
wajah kya hai samajh na paogi,
aur phir bebasi ke aalam mein
meri tasveer tum utthaogi.
No comments:
Post a Comment