kya acha kya bura yeh maine kabhi naa socha

kya acha kya bura yeh maine kabhi naa socha,
pyaar kiya magar iska haal-e-dard naa socha,

tere saath rehte bhi bujh naa payi pyaas meri,
phir bhi aye yaar kisi aur ke baare naa socha,

rukhsat huyi tu mujhse meri wafao ko bhulkar,
gum-e-dard doba raha par tera bura naa socha,

kiya tumne badnaam mujhe aur mere pyaar ko,
magar kabhi tujhe maine ruswa karna naa socha,

samjhaya duniya ne aur mere apno ne mujhko,
tujhe gulaab hi samjha, zakham-e-kaata naa socha,

kya acha kya bura yeh maine kabhi naa socha,
pyaar kiya magar iska 
haal-e-dard naa socha.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts