humein kisi ki bhi ab koi hasrat nahi hai

koi unko keh de na ab mujhe aur satayein,
mujhe ab sehne ki aadat nahi hai,

na de mujhko ab wo dard ka aur pyaale,
mujhe ab peene ki aadat nahi hai,

nahi koi khwahish saahil ki humko,
humein manzilon ki bhi ab chahat nahi hai,

bhale koi aaye saath de ya humein chord de,
humein kisi ki bhi koi hasrat nahi hai,

“raaj” khud kaid hai apne hi sawalon mein,
unke jawaab ka ab koi intzaar bhi nahi hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts