kaash main wahan hota

subah jab neend se uth kar tum aankhe kholti,
to tumhare aashiyane ki roshni ban kar kaash main wahan hota.

jab uth kar tum apna chehra bhigoti,
to ban kar paani kaash main wahan hota.

fir jab tum thandi hawa ke liye barande me aati,
to sukoon dene waali hawa ban kar kaash main wahan hota.

aur jab tum apne haatho se koi phool todti,
to tumhari saanso me ban kar khushbu kaash main wahan hota.

fir sanwar kar jab tum ghar se chal deti,
to ban kar tumhari raah kaash main wahan hota.

tum apne dosto se milti, aur zindagi jee bhar ke jeeti,
aur tumhe khush dekhne ko kaash main wahan hota.

fir jaane kyun naraz ho kar tum waha se chal deti,
tab tumhe samjhane ke liye kaash main wahan hota.

tum aati ghar pe aur ruth kar baith jati,
tab tumhe manane ke liye kaash main wahan hota.

fir tanhaai me jab chup-chup tum rone lag jaati,
to aanshu ki tarah tumhari aankho se behne ko kaash main wahan hota.

ek ehsaas hu main, jo majboor hai kismat ke haatho,
un palon me tumhe thamne ko kaash main wahan hota.

fir tum rote-rote kahin khayalon me kho jaati,
tab tumhare yaadon me yaad ban kar kaash main wahan hota.

na jaane kab tumhari aankh lag jaati,
khwabon me tumse milne ki khushi liye kaash main wahan hota.

hakikat nahi to kya ek sapana ban kar hi sahi,
khwabon me tumse milne ka naseeb liye kaash main wahan hota.

tumhe hi nahi tumhari yaadon se bhi bepanah pyar karta hoon,
ek pal ko sahi, tumhara pyar paane ko kaash main wahan hota.

mera naam bhi zuban pe na laana tumhari majboori hai,
bhari mehfil me tumhein apna kehne ka haq liye kaash main wahan hota.

tumhe khone ke dar se kuch bhi bayan na kar paata hoon,
apne pyar ka izhaar karne ko kaash main wahan hota.

main to ek ehsaas hu jo tumhari yaadon me bhatakta hai,
tumhara pyar ban kar tumhare dil me rehne ko kaash main wahan hota…


2 comments:

All Time's Favourite Posts