bahut gum sinne me dabaye baitha hu

sath rahene ka waada bhi tha,
door jane ka koi irada bhi naa tha,
hum to rishta nibhate jaa rahe te,
kab tak nibhana hai ye andaza bhi na tha,
yeh safar bardi aasani se chal raha tha,
zindagi ka phool dosti ke sath khil raha tha,
na koi shikwa tha na gila tha,
hum to ussi me khush the jo zindgi se humein mila tha………….

hum bhi chal rahe the aur zindgi bhi chal rahi thi apni raftar se,
gum bhi mil rahe the aur khushiya bhi mil rahi thi humein barabar raftar se,
jane kyu kisi ko hamara yeh pyar gawara na raha,
aur woh jo ek dost karib tha aab woh hamara na raha………..

kuch galatfehamiyo bina dosti adhuri hai,
aye musafir tera ye samajh pana jaruri hai,
kabhi zindgi me hamari kami lage to lauth aana,
bin sharto ke tumhein apna lenge,
wapas ussi taraha palko par bitha lenge,
wapas pyar ke wo murjhae huye phool khila lenge,
tum ek baar aane ka waada to karo,
agar humne tumhein paa liya to sabh kuch paa lenge……

aage tumahari marzi ho to hi lauth kar anna,
kyuki dabav me koi rishta nahi pallta,
bahut se log mil jate hain iss zindagi me,
par koi apna bahut mushkil se hi milta,

aao to aa jana main palke bichaye betha hu,
dil me ek bar fir ummido ki shama jalaye bethi hu,
warna zindgi to yu hi kat jayegi,
waise bhi bahut gum sinne me dabaye baitha hu…….

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts