ek ladke ki kahani dosto aaj main sunaunga,
badnaseebi kise kehte hai ye aapko bataunga,
sidha sadha tha wo ladka mohabbat se koso dur tha,
apni aap me hi aur baadsahon ki tarah masti me chhoor tha,
waqt bura aaya ke uss badnseeb ko ek ladki bha gayi,
tamam khushiya uski mohabbat kha gayi,
din raat uske hi khwabo me goom wo rahne laga,
aas-pardos, dost, samaaj.. pagal sab usse kahne laga,
ladki ko bhi us pagal ki mohabbat bha gayi,
kya pata tha khushiyo ki shakal me badkismati hai dono ki aa gayi,
iss baat ki bhnak ladki ke maa baap ko jab pata chali,
bahar aana jana band hua, ghar me hi jail ki tarah wo rahne lagi,
idhar wo ladka sab baato se anjan uske liye tha tadap raha,
shahar shahar, galiya galiya, uske liye saadhu ki tarah bhtak raha,
ladki ne dar ke mare usse apna pata bhi na bataya tha kabhi,
kabhi zaroort pard jayegi, is baat ka khyal ladke ke dimag me bhi na aaya tha kabhi,
waqt ke sath zakham bharte hain ye suna tha sabne,
magar ladke ka zakham dino din tha bardhne laga,
na bhookh lagti, na pyas lagti thi na soya hi jata tha,
uski judaai me ladka be-mout tha marne laga,
ishq ek aur maa ki godh suni kar gaya,
tadapte huye, uska naam rattate, ladka be-mout tha mar gaya,
ladki ko aaj bhi na usne kosa tha,
uski majboori hogi koi bas yahi dilme usne socha tha,
marne ke baad uske sath ek ajab khel hua,
jism milte hain zinda rah kar,
unki rooho ka mar kar mel hua,
mar kar bhi wo swarg ke darwaje pe khada uska intezar kerta raha,
kab aayegi mera dilruba issi baat ko soch kar wo marta raha,
upar pahuch ker ladki ke tab hosh udd gaye.
jitne bhi sahe the usne sab dukh uske dur ho gaye,
mohabbat ke itihas me shayad pahli baar tha ye,
ye jismon ka nahi, aatmao ka milan tha ye,
isliye kisi ne bahut khub kaha hai....
wo maut bardi suhani hogi jo aapke pyar me aani hogi,
wada hai aapse pehle hum jaayenge,
aapke swagat ki rashm waha bhi hum hi nibhayenge...

No comments:
Post a Comment