maangi khusi to paaya ghum ki saugat maine,
sinne me daffan kiye phir apne jazbaat maine,
mat puch meri aankho me subah ki laali ka sabab,
tujhe khabar nahi kis tarah guzaari hai raat maine,
aashmaan mera suna tha, aankho se girti bundein thi,
har saawan me hote dekhi aisi hi barsaat maine,
kabhi khud ke aanshu poche, kabhi khud ko gale lagaya,
kis kis tarah se samhaale hain apne halaat maine,
pyar ke badale hi to maanga tha yaar pyar tujhse,
maangi to nahi thi aakhir koi khairaat maine,
koi kya jaanega ki raaj aakhir tanhaa kyu hai,
har kisi se hi to chupayi rakhi hai ye baat maine...

No comments:
Post a Comment