hossh khone ki chaahat agar iss kadar nahi hoti,
madhosshi yun meri hamsafar nahi hoti,
har raat tere rashta taakti hai meri aankhein,
tujhe khawab me dekhe bina meri subah nahi hoti,
har kadam pe raah rokati hai nayi manzile meri,
bas ek tere siwa meri kahi thehar nahi hoti,
dhire dhire marz mera laa-elaaz ho gaya,
koi dawa dua mujhpe ab assar nahi hoti,
din ke ujaalo me bhi dekhi hai andhere maine,
andheri raaton me mujhe ab fikkar nahi hoti,
koi tanhaa se hi puche dard meri tanhaayi ka yahan,
din me gujar nahi hoti, raat me basar nahi hoti...

No comments:
Post a Comment