kab tak hum yuhi judai ka dard sahenge

kab tak rahenge chup yuhi, kuch bhi na kahenge,
yuhi khamosh baith ek duje ko dekha karenge.

jhil-mil raat bhi sitaron ke aagosh mein chali,
kab tak hum yuhi judai ka dard sahenge.

jo baat tere dil mein hai wahi iss dil mein dabi hai,
ab kab talak tannha hum yuhi aahein bharenge.

ikkrar teri aankhon mein hai izhar kyu nahi hota,
kab tak yuhi hum iss zalim jamane se darenge.

ab yeh mel bhi kaisa jo chand labzon ke nazar ho,
ab to nigahon mein hi har baat karenge.

tu bhi na kuch kehna mujhe, hum bhi na kahenge,
tere in kap-kapate lab ki hi bhasha hum sunenge.

gar izhar e muhabbat itna mushkil hai mere humdum,
bina izhar hi hum tujhe mohabbat bhi karenge.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts